Monday, 17 December 2012

‎"वो समझ ले एक बार इन बरसती बूंदों की वजह क्या है !!!!!!
मेरे आंसूं यूँ ही नहीं उड़ कर बादल बन जाते 
बरस रही बूंदों को यूँ न करो जुदा खुदसे !!!!!!!!!!
हाथ की छत्री को भी जलाने का माद्दा रखते हैं ये ”........

Sunday, 4 November 2012

nadiyan na behti gar
to pyas meri bujhti kaise
ye ruke hue kuen kab tak
pyas meri bujhaenge
Sukhe honton par 
Dararen ubhar aayi hain
Haton par gehri si lakeeren
Hamare aaj ubhar aayi hain

Kismat bhi jaise
Lakeeron mein kahin chup gayi hai
Aur unke ghar mein
Baharen ubhar aayi hain

Masjid bhi pareshan 
Ho gayi hai humse
Aur hume panchon me se
Ek bhi namaz na samajh aayi hai

Behosh se phirte hain
hosh walon ke beech
aur hamare chehre mein
tumhe koi baat nazar aayi hai

dekh gharon mein dubak jaaten hain
mano manhoos sheher ke hon
aur humen apne dabdabe ki
aas nazar aayi hai

sheher mein paani ki killat
se hain do do haath
aur humme aj nahane ki
baat ghar kar aayi hai

is andhere ko bhi kabhi sula dena
chahte hain rat ko
par
bin andhere ke bhi kya
kabhi koi raat nazar aayi hai
Khush hun mein aaj mirza
In galiyon ke modon par
Na jaane kitne shehron ko
Shohrat aaj baant aaye hain

Sunsan bastiyon ka hai aaj intezar
Aur kitne mehkhano mein
Sharab baant aaye hain

Kabhi yaad karna
Humen tum kaafir
Jo bahe hawa kabhi is taraf
Sans bhar ke hi chod dena
Samajh lenge ki jaan ek aur jaga aaye hain

Baaki to yun hi samajhte hain ke jeete hain
Gaur karte nahi kab jee paye hain
Is bhagte ko to maut kehte hain mirza
Warna aise to kab ke din bitaye hain

Hume mat samajhna
Na karna ibadat
Kyun milne aaj julus aaye hain
Ye to hasrat hain unki jinke gharon mein
Marton ko hum yaad aye hain
Banton banton khoye se
Pathar moya puj liya
Khilu khilu patvar sa
Tanton mein purzor kiya

Koi batave prabhu dyal
Pindi ko dhaku dhaku
Dekhe tujhko kaise bandhu
Jab nayno ko hi avroodh kiya

Khoob khaye phalahar
Pindi tujhko bhi to bhaint kiya
Vart rakhe roti bhookh
Man chahe ka bharan kiya

Man sove ko bhajan ke age
Khoob pitai dholak ki
Dev gan gaon gaon
Khoob man vimukh kiya

Sham chadave 
Vart ke toote
Khoob chain se khaonga
Fal prapti karon karon
Papon se mukt ho jaunga
sheher mein tha ek maykhana
har sham chamakta tha
nachiz ka tha jo pyala
har sham chalakta tha

kuch pita tha woh
kuch har rat behakta tha
is shayar ki kalam par
har waqt mehakta tha

syahi kharide beet gye the
kayin saal lalit
kagaz har kora
bas pine ko tarasta tha

aalam sheher ka hai ye aaj mirza
maykhane hain aaj hazaron mirza
likhte aaj bhi hain har sham mirza
par wo maykhana nhi hai kahin aaj mirza

us jagah par aajkal hai ek masjid dekhi
sir jhuka kar dekha mere yaar mirza
par nasha to abhi bhi hai uski hawa mein
shayad tabhi kho raha hun hosh phir mere yar mirza
sheher mein tha ek maykhana
har sham chamakta tha
nachiz ka tha jo pyala
har sham chalakta tha

kuch pita tha woh
kuch har rat behakta tha
is shayar ki kalam par
har waqt mehakta tha

syahi kharide beet gye the
kayin saal lalit
kagaz har kora
bas pine ko tarasta tha

aalam sheher ka hai ye aaj mirza
maykhane hain aaj hazaron mirza
likhte aaj bhi hain har sham mirza
par wo maykhana nhi hai kahin aaj mirza

us jagah par aajkal hai ek masjid dekhi
sir jhuka kar dekha mere yaar mirza
par nasha to abhi bhi hai uski hawa mein
shayad tabhi kho raha hun hosh phir mere yar mirza