Sunday, 4 November 2012

Sukhe honton par 
Dararen ubhar aayi hain
Haton par gehri si lakeeren
Hamare aaj ubhar aayi hain

Kismat bhi jaise
Lakeeron mein kahin chup gayi hai
Aur unke ghar mein
Baharen ubhar aayi hain

Masjid bhi pareshan 
Ho gayi hai humse
Aur hume panchon me se
Ek bhi namaz na samajh aayi hai

Behosh se phirte hain
hosh walon ke beech
aur hamare chehre mein
tumhe koi baat nazar aayi hai

dekh gharon mein dubak jaaten hain
mano manhoos sheher ke hon
aur humen apne dabdabe ki
aas nazar aayi hai

sheher mein paani ki killat
se hain do do haath
aur humme aj nahane ki
baat ghar kar aayi hai

is andhere ko bhi kabhi sula dena
chahte hain rat ko
par
bin andhere ke bhi kya
kabhi koi raat nazar aayi hai

No comments:

Post a Comment