is jeevan ki rah samet
bhag na tu mara mara
rok sake to khud ko rok
bana satik si rah pathik
yeh jeevan ek bhram ka pyala
peena wala matwala
jo pyasa bhatke din bhar
swarg hai uski madhushala
vilas mein dev bhi gaayen
manushya ka swami daiv
par jo parvato mein dham khaye
usko milen parm shaiv
is jeevan mein yeh sab nirarthak
bas kam dhan dvesh ki seekh
marta bhi janm agle mein maange
aishwaryawan hone ki bheekh
aaj ka sadhu gaddi pe jeeta
khata poode pakwan
bhakt ka guru apach ka shikar
aur bhook se marta sabka bhagwan
bhrun ki hatya pet mein
kis disha mein janam de
phir kehte kalyug mein avtar
kalki le to kaise le
mandir ki ghanti subah sham
pindi ko sone na de
phir subah tadke bhakton ko
darshan de to kaise de
mandir todkar
usko bhi banjaara bana diya
aur jo masjid bachayi the burewaqt ke liye
us par bhi taala chada diya
sadkon par bhi na so sakta bechara
us par to dange hote hain
jin aankhon se dekhta tha
un aankhon par dushala uda diya
jab bhookh lagi
kaha bhakto se kuch
dugdh to dan karo
bhakt bola kalyug hai ye
muft mein na kuch milta hai
bhukh tabhi smapt karoonga
gar koi var pradan karta hai
bhag na tu mara mara
rok sake to khud ko rok
bana satik si rah pathik
yeh jeevan ek bhram ka pyala
peena wala matwala
jo pyasa bhatke din bhar
swarg hai uski madhushala
vilas mein dev bhi gaayen
manushya ka swami daiv
par jo parvato mein dham khaye
usko milen parm shaiv
is jeevan mein yeh sab nirarthak
bas kam dhan dvesh ki seekh
marta bhi janm agle mein maange
aishwaryawan hone ki bheekh
aaj ka sadhu gaddi pe jeeta
khata poode pakwan
bhakt ka guru apach ka shikar
aur bhook se marta sabka bhagwan
bhrun ki hatya pet mein
kis disha mein janam de
phir kehte kalyug mein avtar
kalki le to kaise le
mandir ki ghanti subah sham
pindi ko sone na de
phir subah tadke bhakton ko
darshan de to kaise de
mandir todkar
usko bhi banjaara bana diya
aur jo masjid bachayi the burewaqt ke liye
us par bhi taala chada diya
sadkon par bhi na so sakta bechara
us par to dange hote hain
jin aankhon se dekhta tha
un aankhon par dushala uda diya
jab bhookh lagi
kaha bhakto se kuch
dugdh to dan karo
bhakt bola kalyug hai ye
muft mein na kuch milta hai
bhukh tabhi smapt karoonga
gar koi var pradan karta hai
No comments:
Post a Comment