Sunday, 4 November 2012

“kasoor hawa ka hai
Jo uda rahi hai ishq
Par
Meri sanson ko bhi to
Isi ne hi dauda rakha hai

Kal subah uthne ka 
Man to nhi hota
Par kal subah kisi ne
Bula rakha hai

Aaj ki raat beetegi kaise
Sochta hun kabhi
Par ye jo yaar hai mera maykhana
Isne sab sikha rakha hai

Sochta kya hai
Is kadar
Payale ko khali kar de ek hi baar
Wo to peete nhi
Jiske liye
Payala bacha rakha hai

Kya kahenge unse kal
Ye samajh na pa rha hun
Isi uljhan mein raat bhar
Maykhana khulwa rakha hai

Meri sifarish hi kar dena kal
Mausam se kehta hun
Kehta hai wo ki isi baat par
Kal sawan ko bula rakha hai”

No comments:

Post a Comment