Sunday, 4 November 2012

Aaina kya kharidun mein
Paimane mein shakl dekhta hun aajkal
Kum se kum jaisi chahta hun
Waisi to dikha deta hai

Fir kehte ho ki sharab cheez hai bekar
Pi kar to dekho
behoshi mein zyada maza aata hai

Ke ruh bhi ubal rhi hai
Ke dhoop ki tapish 
Ye suraj nhi pita tabhi to
Khalish dil ki hum pe barpata hai

Cheen kar mere khwab
Badal bna diye isne
Aur jab sota hun rat ko
To pani mujh par barsata hai

Ke khoon bhi sookh gya
Pani bhi zuban par theher jata hai
Ab ke mare phir na uthenge
Tere dil ka aaina bhi to ye dikhata hai

No comments:

Post a Comment