Sunday, 4 November 2012

tum bhi usi sheher ke ho bashinde
jis sheher mein hum baste hain
par makan hai door itna tumhara
ke milne ko hum taraste hain

teri koshish mein ho dum itna 
ki wazan mere inquilab ka bhi utha le
khwahish jitni tum badalne ki rakhte ho
utna hi mulk ko hum bhi badalne ki rakhte hain

bas fark itna ki
sheher mein kiraydaar na rakhega koi humen tab
tum to phir bhi apne sheher mein
aashiyana bana hi loge

na samajhna ki hum tumse
ittefak nhi rakhte
badlega dhang agar mulk ka
to utne khush hum bhi honge

ye koshishe na rokna
khoon chahiye ragon mein ubalta
agar phighlegi nasen tumhari
to thande khoon hum bhi na honge

No comments:

Post a Comment