Sunday, 4 November 2012

Aalam dekhiye aaj kal
Hoton par dua goom hai
Masjid rah ki
Ek imarat si nazar aati hai

Jooton par sheher ki
Har gali chap gayi hai
Par uski manzil ki
Koi na khabar aati hai

Kurta cheenton se jo
Bacha rakha tha ab tak
Us par kuch salvaten si
Ab nazar aati hain

Khilafat nhi hai zariya
Har sabak sikhlane ka
Par un kitabon mein ab to
Kali syahi hi nazar aati hai

Kuch ek ke maykhane mein baithne se
Sheher sharabi nhi banta
Par bin maykhane ke sheheron mein
Mayusi hi nazar aati hai

Koshish kitni kari thi
Shikwa mitane ki sabse
Par har shakl mein humko
Teekhi si hasi hi nazar aati hai

Ibbadat bhi utni hi achi
Jitney mein shak na ho
Varna har namaz mein usko
Meri chahat hi nazar aati hai

Hum to so hi jaenge
Jagah sambhalo apni
Meri ruh ko to bas
Mere jism mein hi
Neend nazar aati hai

No comments:

Post a Comment