Sunday, 4 November 2012

Kyun kali har shoke si
Har gul se na ittefak rakhti hai
Kitne shauk se seencha tha har paudha
Phir bhi har nazm pe shak karti hai

Is zindagi ko jeene ka
Sabab kya hai
Ek hi si jeene mein
Gazab kya hai

Koshish hai ki kashti
Na doobe apni
Par kya jaane ke samandar
Ke man mein khayal kya hai

Aaj kal bas milti hain
Taarefein
Mere malik inki asal
Wajah kya hai

Tere chehre ka naksh
Dhula sa kyun
Kyun aks aaj phir saja 
Sa hai

No comments:

Post a Comment