Sunday, 4 November 2012

waqt firte hain unke bhi
jo bewaqt chalte hain
hum to fir bhi kalai par
waqt pehan kar chalte hain

yun to kismat bhi dhulti hai
un toofano ki barish mein
hum to tab bhi pine ka pani
unhi boondon se bharte hain

sirf aag se hi nhi jaalti hatheliyan apni
kuch khayal bhi dil jala dete hain
chandni ko yun hi narm dil kehte ho
apne mohale ka chand to ye bhi jala deti hai

badte ko mudna nhi chahiye
kehte hain mirza apne
par apni manzil to 
hamesha peeche hi rehti hai

kya paoge humse
jab kamaya hi nhi kuch
par chori bhi wahi karte hain
jinke ghar sone ki khali almari hoti hai

No comments:

Post a Comment