Sunday, 4 November 2012

maykhane mein rush to dekho
lagta sheher sara uth aaya hai
baithne ki jagah nahi
aur har insaan chala aaya hai

itna kya gum hai faila
jo waqt is kadar ban aaya hai
humen kyon bula liya
kya koi na pilane aaya hai

sheher ka har insaan hai pahuncha
liye gala sukha apna
sheher mein pani ki killat
aur pani koi na laya hai

jurm na sangeen hai
bas shaam hi rangeen hai
varna itne mazhabon ko aajtak
saath koi baitha paaya hai

jab tak rahegi sham zinda
juda inhen na koi kar payega
aur subah hote hi ram rahim
ke ghar har shakhs pahunch jayega

isse behtar maykhana hi
hota ghar har bashinde ka
kabrgah bhi yahi banta
aur janam na hota kisi darinde ka

mana maykhana hai badnam
par phir kyon khiche aate ho
pine ka gar shauk hai itna
to mandir masjid kyon na jaate ho

ek baat par zaroor gaur karna
phir se na dohraunga
mazhab har janam badlega
par maykhana na badla jayega

No comments:

Post a Comment