Har baat ki wajah mat pucho
Har raat ki saza mat pucho
Ke kho gaya chand aaj phir badlon mein
Dhundti roshni ki wafa mat pucho
Wo shor sa sunta hai har gali mein
Us shor mein daba kya hai
Jo soye hain kano mein ruyin dabaye
Un insano ki khata mat pucho
Jal hi jayega subah tak sheher sara
Bacha sako jo so bacha lo
Har chingari se uski aukat na pucho
Puchni ho to bas is baichani ki wajah pucho
Tum khush na ho ki mulk tumhara na jala
Ye to bujh hi gayi thi pahunchte pahunchte
Dekho kahin wahan bhi to nhi dhuan uth rha
Bujhaon kaise bas humse ye sawal na pucho
Har raat ki saza mat pucho
Ke kho gaya chand aaj phir badlon mein
Dhundti roshni ki wafa mat pucho
Wo shor sa sunta hai har gali mein
Us shor mein daba kya hai
Jo soye hain kano mein ruyin dabaye
Un insano ki khata mat pucho
Jal hi jayega subah tak sheher sara
Bacha sako jo so bacha lo
Har chingari se uski aukat na pucho
Puchni ho to bas is baichani ki wajah pucho
Tum khush na ho ki mulk tumhara na jala
Ye to bujh hi gayi thi pahunchte pahunchte
Dekho kahin wahan bhi to nhi dhuan uth rha
Bujhaon kaise bas humse ye sawal na pucho
No comments:
Post a Comment