Sunday, 4 November 2012

sheher mein tha ek maykhana
har sham chamakta tha
nachiz ka tha jo pyala
har sham chalakta tha

kuch pita tha woh
kuch har rat behakta tha
is shayar ki kalam par
har waqt mehakta tha

syahi kharide beet gye the
kayin saal lalit
kagaz har kora
bas pine ko tarasta tha

aalam sheher ka hai ye aaj mirza
maykhane hain aaj hazaron mirza
likhte aaj bhi hain har sham mirza
par wo maykhana nhi hai kahin aaj mirza

us jagah par aajkal hai ek masjid dekhi
sir jhuka kar dekha mere yaar mirza
par nasha to abhi bhi hai uski hawa mein
shayad tabhi kho raha hun hosh phir mere yar mirza

No comments:

Post a Comment