un befikar gehraiyon mein bhi
tabiyat apni itni madadgar hai
rota hun tab bhi hasi aati hai
apna gum jo itna khushgawar hai
khoi raton ka chand pe fark kyun
uska to har rat intezar hai
in taroon par bhi to gaur karo
kya inse na koi sarokar hai
kumi hai bas aandhi ki
diye to bujhne ko bekrar hain
kitne dino se soya hun hardum
aaj baichaini ka intezar hai
kabhi nhi milti aasani se rishwat
ye sheher hi aisa mere yaar hai
un bhare huon mein lakhon jama hain
aur apni jaib mein bas intezar hai
har panna jala ke bujha dun tab bhi
ye sheher ko na gawar hai
jab likhta hun to kehte hain bas kar
kya inhi se tumhe pyar hai
wo jalti si bujhti shama bhi hai roshan
par humen to na kisi ka intezar hai
ye ashq shama ki har pyas bujhate
inhi se to chalti unki sarkar hai
kab kharidunga mein wo imarat khadi jo
kyun apni khidki pe harpal uska deedar hai
rota hun to hasi aati hai
apna gum jo itna khushgawar hai
tabiyat apni itni madadgar hai
rota hun tab bhi hasi aati hai
apna gum jo itna khushgawar hai
khoi raton ka chand pe fark kyun
uska to har rat intezar hai
in taroon par bhi to gaur karo
kya inse na koi sarokar hai
kumi hai bas aandhi ki
diye to bujhne ko bekrar hain
kitne dino se soya hun hardum
aaj baichaini ka intezar hai
kabhi nhi milti aasani se rishwat
ye sheher hi aisa mere yaar hai
un bhare huon mein lakhon jama hain
aur apni jaib mein bas intezar hai
har panna jala ke bujha dun tab bhi
ye sheher ko na gawar hai
jab likhta hun to kehte hain bas kar
kya inhi se tumhe pyar hai
wo jalti si bujhti shama bhi hai roshan
par humen to na kisi ka intezar hai
ye ashq shama ki har pyas bujhate
inhi se to chalti unki sarkar hai
kab kharidunga mein wo imarat khadi jo
kyun apni khidki pe harpal uska deedar hai
rota hun to hasi aati hai
apna gum jo itna khushgawar hai
No comments:
Post a Comment